Monday 1 June 2020

Mumbai police. .. Yaa .....sirf ek machine

Mere pore  bharat desh mne ek maatr  aiysa saher Mumbai...hai Jo kabhi nahin sota aur uske sath Mumbai police department...deti hai........
.....pori duniya ya bharat desh mne sirf or sirf Mumbai ek Aisa Shahar hai ki duniya ke har bhasha ke har Dharm ke log sabse jyada yahan par basthe yaa rahete. Hain. Yahan saal ke 12 mahine koi Na koi Dharm ka taihwar raheta hi hai sab har Dharm ke log khushiyan manate Hain har varg ke kam karne wale logo ko apni family ke sath chhutiyan milti hai Apne Dharm mne Shamil hone ki ijaajat hoti hai sirf Humara Mumbai police department ko chhutti nahin milti yaa .. inhe 24/7 kaam he kaam karna hota hai police department mein chote Adhikari se lekar bade Adhikari Tak masroof hote Hain inhe kabhi kabhi aiysa lagta hoga ki choti kiya hai patta bhi nahi chalta yaa is police department mein aane ke baad.  Vah chootti kya hoti hai bhul gaye Sidhe sidhe yah kahe ki yah ek machine ki tarah istemal kiye ja rahe Hain.pori duniya ya bharat desh mne police department ko log  gunde Badmash yah criminal ko pakdne yaa gunha gaaro ko saza dilane ke liye banaya gaya hai . Par Mumbai police ko humne logo ko yaa Mumbai ko buri nazar walo se bachne ke liye upar wale ne banaya hai . kabhi kabhi inhe apna ek ghar biwi bache bhi hai shayad yeh bhol bhi jaate hoge .galti se jab inki biwi yaa  bacche phone karte honge tab unhen maloom padta hai ki hamari bhi ek family hai vah intezar kar rahe hain or fir unhe apni duty ki vajah se  yah vardi ki Mohabbat mein unhe ek jhot hamesha kahana padta hai ki main jaldi a jaunga Mera intezar mat karna aur khana khakar bacchon ko Soola dena . Bus yahi kahekar phone cut kar dete honge ..or mujhe yeh lagta hai ki woh kabhi kabhi phone ko apne aankho mne aane wale aansuon ki vajah se phone jald kat kar dete hoge mujhe nahi maalom par Shayad ye sach he Hoga bhi ....har tehewaro matlab Mumbai mne kahi tarha ke yaa yeh kahena galat na hoga ki  duniya ke har mazhab ke log Mumbai mne rahene ki wajah se har mahine koi Na koi yaha tehwar hota hai har department ke logon Ko time' to time or hafte mne ek to chhutti hoti hai lekin hamare.mumbai police department ko koi chhutti chah kar bhi nahin mil paati yeh Adhikari de nahin paate kyunki bade adhikariyon Ko bhi chhutti nahin mil paati yaa woh khod nahin lete. Unhe har waqt apna karm Dharm aur family is department mein hi dikhai deti hai. Aur unko lagta hai ki Mumbai shahar aur uske log hi uski asli family hai... Unka kaam unka asli farz hai .. unke bacchon ke birthday aur shaadi ki salgirah yah koi bhi tayhwaar Shayad unhen yad hoga jab unke bache yaa unki biwi unhe phone par batate honge tab unhe pata chalta hoga .... unhe fir ek Baar jhoot bolna padta hai ki mujhe maalom tha main phone karne wala he tha or tumne phone kardiya..or apne halke aansuon ke sath kahte hain acha main abhi rakhta hoon saheb ke saat ek urgent meeting mne hno or apna phone rakh dete hoge yeh baat main ek chote Adhikari ki baat nahin karaha police department mne sabhi chote bade post ke logo ki baat karaha hno  ...koi bhi neta se lekar bade businessman Ho yah raste ka ek fakir kyon Na Ho sabhi ka woh  dhiyan rakhte hai unki nazar mne koi chota ya bada nahi hota sirf apni wardi ne jo farz bataya hai savidhan mein jo Adhikar diye hai bus uska hi palan Karte Hain or logo ki hifazat or safety ke liye apna pora jivan Arpit kardete hai ...kahi log unhe sakht or bora kahete hai ....
..par aap apne dil par haat rakh kar soche ki ek maa or baap apne bacho ko sahi raasta or unka future banane ke liye kabhi kabhi bhoke or piyase rahekar or unko sakhti karte hai ek school ka teacher bhi Apne bacchon Ko achcha bhavishya karne ke liye unhe dantta maarta hai uske baad he bacha dar ki wajha se padh kar ache number se paas hota hai or uska acha bhavishya nikhar kar aata hai usi tarha humari Mumbai police department ko sakhti karna padhta hai agar aap samjhdaar ho to samajh jaoge.. mujhe or ziyada bolne ki zaroorat nahi .......ab jab se coronavirus ki bimari ayi hai......tab se duniya or bharat ke sewak har logo se apil kar rahe hain ki please bahar na nikle par sabhi duniya ke log or har tarha ke kaam karne wale apne gharo mne apni family ke sath gharo mne hai apni jaan or apni family ki jaan bachane ke liye........... lekin kisi ne bhi police department ko ek baar bhi nahin kaha hoga jhote monh se ki aap bhi apne ghar mne raho apni family ke sath....or yeh itna  himat wala department hai ki unhe logo ki hifazat ki chinta hai unki family ko to bus uparwala hi samhalta hai......kio na ho upar wale ne unhe apne bando ki hifazat ke liye chona hai to unki family ki zimmedari uparwala hi samhalta hoga ... Coronavirus ki bimari ki vajah se logon Ko sambhalte sambhalte humare police department ke police ke jawan or kuch afsar bhi is bimari ki wajha se is duniya ko chod kar chale gaye par woh na dare or naa himat haare  kuch logo ki na samji ki wajah se humare police department ko takleefo ko jhelna padta hai ... logo se appeal karta hoon ki please humari Mumbai police department ki madad Karen aur gharon mein rahe unhe pareshani mne na daale inki bhi ek family hai inka bhi Ghar par koi intezar karta hai ..aap sabhi Mumbaikars Humari Mumbai police department ka Sahara nahin banenge to aur Kaun Banega please be wajha bahar na nikle or support Karen.. unki bhi tabiyat kharab hoti hai unke gharo mne bhi problem hoti hai par woh sab bhol kar aap ki hifazat mne din raat Laga dete hai plz janta or sabhi sarkar ke logo se appeal hai ki please humai Mumbai police department ka khyal rakhen nahin ziyada se ziyada suvidhaen de...hum chaa kar bhi inka huq adaa nahi kar sakte ......or inki family ka bhi  ...... meine apne itne din ke survey mein sirf or sirf Mumbai police department ko sab se ziyada kaam karte paya hno road par gali mohalo or pore saher mne sirf police ko paya hai .....humare naye c.m...UT sir jo ki ek padhe likhe cm hai unho ne  Mumbai police department ka khyal rakha hai un se request hai ki aaj ki taarikh  mne sab se ziyada janta or police department aap ko piyar karte hai is coronavirus ke khatm hone ke baad police department ko number one ke khitaab se nawaze or unki jo jo zaroorate hai uska khyal karke unhe woh sari swidhaye pradan kare ..yahi aapki asli senaaaaa hai ..... Mumbai ki asli ponjhi Mumbai police department hai....humare c.m..U.T sir or  Mumbai police department ke Sahyog se hum coronavirus or har choti badi jung hum zaroor jeete ge Mumbai ki janta ko aap dono par hee bharosa hai ....... likhne mne agar kuch galti ho gayi ho yaa kisi ke dil ko thes yaa bora laga hoga  to sache dil se maafi maangta hno ki maine ..aaj tak sirf ziyada tar logo ko police department ki khamiya he nikalte suna yaa dekha hai kabhi kabhi is police department ki acchaiya bhi dhond liya kare har department mne bore log hote hai par ziyada tar ache log bhi hote hai ......jai hinddddddddddddd