Monday 11 May 2020

Amir ki pahchan hawai jahaj Garib ki pahchan paidal Safar

Mere desh mne Amir aaraam se 
Hawai jahaaz se apne Desh mne aaraam se dakhil ho Gaya or unhe koi pareshani bina  dande khaye welcome kiya jaraha hai or Ghar tak bina kisi taklif gadiyo mne choda jaraha hai .unke ghar walo ko dekhna naseeb horaha hai har din hazaro ki madad horahi hai pori facilities ke sath na paidal chalna hai  na koi bhi jaankari deni hogi ....,.kionki who.... bade businessman ......bade neta .......bade rahsukh walo.... ke bacche Hain....or rishtedar hai...unhe na bhok pata chali na piyas pata chali na kisi ka dar sataya na bhaye yeh log corona se junge Jeet gaye or or .....   or Garib mazdoor or un ki family
Kuch bodhe kuch masoom bache kuch mahilayen
Un ka safar takalif se bhara howa apne safar par chal pade na maliko ne paisa diya malik kahete hai humare pas tumhare liye hamare paas na  jagha hai na khana hai na tumhare liye Humare paas dil mne rahem hai.mazdoor bhoke. Piyase Apne safar par us malik ke bharose nekal pade jisne paida kiya shorowaat mne kuch n.g.o.s ne ..... Social workers
Ne apni haisiyat
Ke mutabik madad ki jab tak taakat thi mazdoor paidal he safar karne lage jaha bhok lagi  dande or maar khakar bhok. Mita Dee piyas lagi to apna he baheta khon or pasina  piliya dar kar chop kar safar chalo rakha .ek shaks ki kahani itni bori thi 800 kilo miter paidal chalta raha bhok piyas se chala manzil 100 kilo miter pahele ghar aane he wala tha uska jism jawab dediya or duniyaa se chal basa ...ek family Miya biwi do beti sath thi ek 2 saal ka beta maa ke godh mne baap ke sar pe saaman ladha chal rahe raste mne jab koi kuch thoda sa chawal deta to who maa baab bacho ko de deta bacho ko raat hone par sula dete or khod bhoke so jaate fir subha bhoke piyase safar par nikal padte kuch  der baad dhop chadhti bache langad ke chalne lagte fir rote or chal nahi pate maa baap se kahete ab chala nahi jaata ghar kab aayega baap tassli deta abhi kuch der mne aajaye ga fir maasom himat karte or chalte hai fir rone lagte hai fir kahete hai hum se ab bilkol chala nahi jaraha hai or rote howe gir jaate hai maa baap bacho ko uthane jaate hain tab bacho ke pairo par nazar padti hai maa baap foot foot kar rote hai bache kahete hai aap mat rona hum thode der baad fir chalte hai maa baap kahete hai thikh hai bacho or maa baap ek dosre ko dekh kar khob rote hai pata chalta hai ki un dono bacho ke pairo mne chaale zakham pad Gaye hai or bahot si kahani hai bayan nahi hoti yeh to 2 logo ki kahani hai humare desh mne kahi hazaro ki kahani isi traha chal rahi hai jo safar pe nikle hai kuch bimari se mar rahe hai kuch ghar aane se pahle mar jarahe hai or jo Apne village pahoch bhi gai to log unhe village mne ghosne nahi derahe hai kio ke un village walo ko dar hai ki tum apne sath corona sath laye hoge .....waha re amiriiiiiiiiiiiiiiiii....waha re garibiiiiiiiiiiiiiiii.....waha re ...waha corona aaaaaaaaa hum sab ko Insaniyat ke liye un garibo ki madad karni he hogee chahe koi bhi dhram ke log ho Insaniyat bohat badi chiz hai ..............kisi ko is post se bora laga ho to maafi cahata hno bus yahi kahena hai bimari kisi ko bol kar nahi aati ke tum Amir ho ya garib fir milenge....................jai hind 







No comments: